A very sad gazal presented by Awaaz-E-Dil . . . Sochta hu k use neend bhi aati Hogi.
У вашего броузера проблема в совместимости с HTML5
A very sad gazal presented by Awaaz-E-Dil
Sochta hu k use neend bhi aati Hogi.
Ya meri tarha faqat ashq bahati hogi.
Wo meri shakal mera Naam bhulaane wali.
Apni tasveer se kya aankh milati hogi.
Is zamee par bhi hai sailaab mere ashkon se.
Mere matam ki sadaa arsh hilati Hogi.
Sham hote hi wo choukhatt pe jala kr shameyin
Apni palkon pe kayii khawaab sulati Hogi.
Usne silvaa bhi liye honge siyaah rang k libaas.
Ab moharram ki trha Eid manati Hogi.
Dil ki Masoom ragein khud hi sulagti hongi.
Ju hi tasveer ka Kona wo jalati Hogi.
Roop deker mujhe usme kisi shahzaade ka .
Apne bacchon Ko kahani wo sunati Hogi.